Tanhaayi Aur Teri Yaadein
Aj phir ek behas chalti rahi....
Teri yaado aur meri nind ke beech....
Aur aj phir teri yaadein jeet hi gayi....
Baar baar yaad aye tere vaade saare
Baar baar yaad aaya tera mera haath thamna
Baar baar yaad aaya tera mere sath saara saara din bitana
Baar baar yaad aaya tera ruthna aur mera mnana
Baar baar yaad aaya humara bewajha ka khilkhilana
Har baar yaad aaya tumahara adhoore vaade kar jaana
Phir ek aur behas kar li teri yaado ne meri aankho se
Teri yaado ke sath ye nadaan ankhein baras padi besabr si
Jaise kitne arse se talas thi inko behne ke liye teri yaado ki
Saari raat meri behas me guajar jati hai yu hi
Sab kuch waise ka waisa yaha bus ek tu hi nahi
Sab kuch aj bhi smaeta hua hai is dil me
Bus sunnane ko tu nahi bus tera sath nahi
Laakho shikayate dum tod jaati hai in labo par
Kyuki ab shikayat sunne ko tu jo nahi
Dekho samja do apni yaado ko besabrs kar jaati hai
Ye dil ko mere mazbur kar jaati hai

Aankho ko barsane k liye ye besabr kar jati hai
Ek baar samja do naa aakar inko
Ek baar gale se laga lo na mujhko
Kya sach me tere saare vaade sirf rone ki wjha banne k liye they
Kya tere wo spane bus naam ke hi they
Kyu diye they wo sapne isi jadojehad me kab raat gujar jati hai
Teri yaado kitne aasu bahaye hai maine
Teri yaado me kitna llipat kar royi hu
Ye tujhse jyada to mera bhiga hua takhiya jaanta hai
Apne man ko toh samjha bhi leti hu lekin
Ye jo teri yaade hai waqt bewaqt behas karne lagti hai
Meri nind se aur akhir me teri yaade jeet hi jaati hai
 Spread Love 
 Written by Megha Saxena