♥♥HEART TOUCHING CONVERSATION♥♥
Maa: Beta kya kar rahi hai ...tujhe Teri badi Di ne kuch btaya?
Beti: Haan maa btaya di ne ek rista aaya hai aur aap sab cahate hai mai usse mil lu
Maa: Haan dekh le mil le beta..shaddi toh karni hi hai naa
Beti: Haan maa main haan kar dungi lekin aapko meri conditions pata hai naa?
Maa: Beta tu kyu nahi samjhti Aj kal bina dahej ke koi ladka shaddi nahi karta
Beti: Maa wakio ka nahi pata mujhe....mujhe apna pata hai main jal kar nahi marna cahati aur na hi yeh cahati hu ki mere murder ko suside ka naam diya jaaye
Maa: Beta ye kya bol rahi ho?....kya boli jaa rahi ho mujhe to kuch samjh hi nahi aa rha hai
Beti: Haan maa aap kyu samjhegi ....aap toh khud cahati ho naa yeh ...tabhi to aap aise insan ke hath me mera hath dena cahati ho jo mujhe dahej ke liye jla de
Maa : Beta sun to shaddi toh karni hi hai naa….aj nahi toh kal kab tak tum darti rahogi beta
Beti: Maa main dar nahi rahi hu….aur haan maa main karungi naa shaddi lekin aise ladke se jise mujhse pyar ho.... na ki mere dahej se.... shaddi wo mujhse kare ek ladki se mujhe apni jindgi ka hissa bnaye.....na ki ek ATM ki machine se jo bus usk demand poori karwati rahe apne mayke walo ko pareshan kar ke
Maa: Lekin beta....
Beti: Maa apko pata hai hum betiya kyu jalayi jaati kyu dahej ke liye maari jaati?..... kyuki humare hi gharwale hume ek laalchi insan ke haatho me saoup dete hai....aur uska laalach badta jaata hai aur aap log uski demand poori karte rehte ho aur jab aap demand poori karna band kar dete ho usi din apki betiya jalaa di jaati hai ..... jis din aap logo ne apni betiyo ko aise laalchi insan ke haathon me saoupna band kar diya us din hum betiya dahej ke liye marna band ho jaayengi (crying loudly) ...

Maa : (Crying and hug her) beta humare liye teri khushi se jyada kuch jaruri nahi hai .... tu sach hi keh rahi hai .....jis din har maa- baap betiyo ko bojh samjhna band kar denge tab betiya kabhi bhi aur kisi bhi wajha se nahi maari jayengi
Beti: Love you maa..... agar koi nahi bhi mila aisa to main khud job kar rahi hu apni zindagi bina kisi ke support ke jeena shikhaya hai
Beti : Aur waise bhi maa.... apko world tour par bhejna hai paapa ke sath yaha apko romance ka time nahi milta naa hum logo ki wajha se (in funny way)
Maa: Tu bhi naa bahot shararti hoti jaa rahi hai .....meri bacchi kash har ladki teri tarah ban jaaye to betiya kisi bhi wajha se maari na jaaye
Beti: Love u dhera saara mom lekin paa se kum…..kyuki papa ne hi itna brave banya hai mujhe
Maa: Love u too meri bacchi
Maa:- Haan mera baccha “♥YOU ARE MY ANGEL♥”
♥SPREAD LOVE♥