♥ 6 phere ♥
Aatharv aur Aarohi childhood friend hai aur ab Aatharv job ke silsile mein Dubai shift ho chuka hai .....Aur Aarohi ki engagement ki wajha se apne home town wapas aaya hai
Aatharv : Bhaiya yuhi rok dena auto (aarohi ke ghar ke saamne)
Aarohi ki Maa : aree aarohi dekh beta kaun aaya hai
(aarohi bhagte hue aati hai ) Aarohi aatarv ko dekhkar wahi ruk jati hai
Aatharv: aarohi congratulation ....
Aarohi: thank you maine socha nahi tha tum aaoge
Aatharv: kaise nahi aata akhir kabhi aisa hua hai tumne bulaya ho aur main na aaya hu
Aarohi: kai baar hua hai bus maine kabhi sikhayat nahi ki
Aarohi ki maa : tum dono aise hi darwaaze par baate karte rahoge ya andar bhi aaoge
Aatharv: ji aunty kyu nahi aaunga ab toh rukne aaya hu specialy is chipakli ke liye chuttiya lekar aaya hu
Aarohi : aatharv tumhari jyada sakkar wali chai
Atharv : tumhe yaad hai
Aarohi: tumse judi har baat yaad hai bhool to sab kuch tum gaye ho
Aatharv : aarohi aise kyu bol rahi ho
Aarohi : aatharv kal dophar 2 bje humare colg k saamne milna bahot saari baatein karni hai tumse kuch hissab bhi brabar karne hai
Aatharv : okay
******Next day 2 pm*******

aatharv aur aarhoi dono apne colg ke saamne hote hai ...aarohi apne bag me se ek aur bag nikalti hai aur aatharv ko de deti hai
Aatharv : ye kya aaru
Aarohi: tum aaru kehne ka haq kho chuke ho arth ....ye tumhare sath liye hue 6 phere hai jinse aj tak tum anjaan ho sayd ya anzan banne ki kosis kar rahe ho
Aatharv: aaru main kuch samjha nahi
Aarohi: tumhe yaad hai bachpan me tumhara ek pendent mujhe bahot pasnd aaya tha aur tumne woh pendent mujhe de diya tha :.....us din maine tumhare sath pehla phera liya tha aarth...... tumhe yaad hai tenth class me jab humare ek classmate ne mujhe pareshn kiya tha aur tumne patthar utha kar use maara tha tab maine tumhare sath dusra phera liya tha ......jiske liye tum restricate bhi hue they
Aatharv: aaru lekin
Aarohi: lekin kya aarth ....waki pehre to sun lo jinse tum anjaan ho......teersa pehra maine tumhare sath tab liya tha jab mujhe 12 me apna stream choose karna tha aur maine bhi biology choose ki kyuki hamesa tumhare sath rehna cahati thi ......chautha pehra maine tab liya jab ek baar ghar me pooja thi aur maa ne mujhe besan ke laddu laane ko bola tha aur raste me mujhe tum mil gaye aur main tum me itna kho gayi ki ghar par tumhare favourite motichoor ke laddu lekar phauchi bahot daat padi thi mujhe but main khush thi jaante ho kyu....kyuki us din tumne mere hisse ke laddu bhi le liye they aur jab tumne dekha mere pass laddu nahi bacha to tumne apna jhuta laddo mujhe khilaya tha
Aatharv: aaru tum hosh me nahi ho syad
Aarohi : haan hosh me nahi hu ....paanchwa pehra maine tumhare sath tab liya tha jab ek baar tumhe chot lagi thi aur tumhare liye tez dhoop me bina chappalo ke chal kar mandir gayi aur main us mandir ki seediyo par baithkar bus tumhare liye dua karti rahi......aur chatha phera tab liya maine tumhare sath jab koi bhi nahi cahata tha tum dubai jaao aur maine apne dil par patthar rakh kar aunty uncle ko manaty tha tumhare liye
Aatharv: aaru ab in sab baato ka koi matlab nahi hai kal tumhari sagai hai
Aarohi: haan pta hai in baato ka koi mtlab nahi hai tabhi jaa rhi hu tumhe tumhari saari cheeze wapas kar k...
Aarohi bag aatharv ko dekar waapas aajati hai
****Next day***
Aarohi ki engagement ho jati hai aur aatharv usi raat dubai chala jaata hai
*****After some month*****
Aatharv sab purana yaad kar rha hota hai ki kaise bacpan me aarohi use apni half choclate de diya karti thi uske pass kisi aur ladki ka baithna use bardast nahi hota tha kaise ghanto tak dono ek dusre se baatein karte they kaise aarohi subha uske liye jaldi uthkar use call kar ke jagati thi ye sab yaad kar ke use aarohi ki bahot yaad aane lagti hai aur wo khud ko bahot bebas sa mehsoos karne lagta hai.....tabhi achanak se usko yaad aata hai aarohi ki toh shaddi hai kuch dino me usne apni shaddi me invite nhi kiya sayad usne abhi maaf nahi kiya mujh
******Din mahine aur saal beet te gaye******
***** seven year later******
Aatharv waps india aata hai.....sabse pehle apne ghar jaata hai aur phir apni maa se sabse pehle arohi ke baare me puchta hai
Aatharv: maa aarohi kaisi hai kaha hai uske to bacche bhi honge na ab
Aatharv ki maa: beta tumhe nahi pta?
Aatharv: kya maa
Aatharv ki maa: aarohi ab yaha nahi rehti aur usne apni engagement tod di thi aur apne gharwalo se naraj hokar ghar chodkar chali gayi Aatharv bina kuch khaaye sabse pehle aarohi ke ghar jaata hai...aarohi ke paapa darwaza kholte hai aur aatarv ko andar aane ko bolte hai
Aatharv : uncle aarohi kha hai uska kuch pata chla wo kaha gayi kha hai itne saalo se
Aatharv ko aarohi ke paapa ek letter dete hai .....jisme likha hota hai.....paapa mujhe maaf karna maine apka sar jhuka diya lekin papa main agar wo shaddi kar bhi leti toh bhi khush nahi reh paati ....meri galtiyo ki saza us insaan ko milti jo in sab se anjaan hai ...wo mera haath thaam bhi leta paapa lekin mera dil hamesa aatharv ke liye hi dhadkta rehta....Paapa main kabhi apko nahi bta paayi ki i love aatharv mujhe maaf kar dena.....main jaha bhi bahot khush hu aur paapa mujhe ek newspaper ne editor hire kya hua hai.....papa mujhe maaf kar dena aapki aarohi Aatharv letter pad k rone lagta hai .....phir acahanak se wo newspaper
me editors ke naam search karta hai aur aarohi ka pata laga leta hai
Aatharv: uncle kal hum logo ko delhi jaana hai aap tayar rehna
********Next day**********
Aatharv aarohi ke papa ke sath delhi jaata hai us newspaper ki company me pahuchta hai aur tabhi use pta chalta hai aarohi to do din se office nahi aayi....wo aarohi ka adress lekar aarohi ke ghar pahuchta hai aur door bell bajata hai .....ek choti si bacchi darwazza kholti hai tabhi aarohi ki awaz aati hai Aahana beta kaun hai darwaaze par
Aahana : maa pta nahi koi do log hai
Aarohi bahar aati hai aur apne paapa aur aatharv ko dekhkar ruk jati hai andaar bulati hai phir puchti hai aap log kyu aaye hai ab yha?
Aatharv: aarohi maafi maangne aaya hu apni galtiyo ki apni nadaniyo ki
Aarohi k papa . Aarohi wo bacchi kaun hai
Aarohi: meri beti hai paapa aahaana ....
Aarohi k paapa : beta tumne shaddi?
Aarohi: paapa maine shaddi nahi ki aahana toh mujhe ek dustbin me roti hui mili thi .....hum dono ke pass jine ki wajha nahi thi toh hum dono ek dusre ki jeene ki wajha ban gaye
Aarohi k paapa : beta mujhe proud hai tum par mujhe khushi hai ki tum meri beti ho......lekin beta ab is nalayak Aatharv ko bhi maaf kar do jab se aaya hai tab se bus tumhe dhoondh arha hai
Aarohi bina kuch bole andar jaati aur aahana ko bahar laati....
Aarohi:aahana beta hello bolo apne naanu ko aur apne paapa ko
Aatharv aahana ko goad me uthakar rone lagta hai
Aarohi ke paapa: acha ab btao kab shaddi karwani hai aahana beta apne maa paapa ki……inke saath phere abhi baaki hai
****Happy Ending ****
♥SPREAD LOVE♥