♥ He_She ♥

He: Hi sweety kya kar rahi ho

She: Mere pass kha koi kaam hota hai karne ko

He: Haaww sacchi apke pass koi kaam nahi hota karne ko?

She: Haan nahi hota koi bhi kaam

He: Aisa kyu bol rahi ho kya hua jaan

She: (in anger) aur nahi toh kya sachi hi keh rahi hu ....apko bhi to aisa hi lagta hai ki mere pass kuch hai hi nahi karne ko tabhi meri baat nahi sunte main paglo ki trah subha uthu apko uthau apni neend khrab karu aur apko lagta hai ki main faltu hu aap baat bhi nahi karte theek se
.
He: Acha to ye baat hai humari jaan is baat par naraj hai unse subha baat nahi ki sirf mrng wish kar ke so gya aur wo bechari hume phone karke jagati rahi aur hum jaage bhi nahi

She: Areey hum kyu naraj honge hum to pagal hai .....pagal hi hai hum aur apko b yuhi lagta hai hum aapko har baat yaad dilaye apke liye subha uthte hai kabhi exm  me b nahi uthe honge.... wait kartye hai kab aap uthoge kab baat karoge ..pta hai hume appko office me bahot kaam hota hai lekin iska matlab ye to nahi aap hume time hi na do.

He: Babu raat ko itna thak jata hu ki dinner kab man nhi karta woh to apki zid ki wajha se dinner karna padta hai kyuki agar humne dinner nahi kia to aap b nahi karogi

She: Pta hai hume tabhi to hum raat ko pareshan nahi karte apko pta hai raat ko pta nahi kitni baar nind toot jati hai ye sochakar aisa na ho aapko jaga naa pauaur humari baat hi na ho bus mrng ka hi tym hota hai ki hum aapse baat kar paaye lekin aap hai ki....in sad voice

He: Aree mera baabu to naraj ho gya

She:  Nahi hum kyu naraj honge hum hai hi kaun bus apki gf naa

He: Kisne kha aap humari gf ho...

She: Haan hum to koi hai hi nahi humari importance hi kya hai apki life me

He: Haaaww inni gussa karogi ab aap

She: Nahi hum gussa nahi kar rahe


He: Achaa suno aap humari gf nahi future wife ho.....future kyu aap meri wife ho wo baat alag hai hum shaddi baad me karenge lekin ho to aap humari wife hi naa

She: acha (with smile)

He: Haan jaan ap humare jeene ki wajha ho

She: Bus bus ab jyada smart banne kis kosis na karo

He:  Hawww ab maine kya kia

She: Mera gussa gayab kar dia aur kya kia
.
He: acha.

She: Haan ji ab to bus aap par pyar aarha hai

He: " Aj phir tum par pyar aaya hai hai behad aur beshumaar aaya hai"

She: Love u zindagi mere sweetu

He: Love u too mere jeene ki wajah

She: ******blush blush blush********

♥ Spread Love ♥