Ek ladka ladki facebook pe mile
kahi kisi
post pe, ❤

Pehle like, fir comment fir chat post pe
baat,
Kabhi hasi
kabhi mazak
kabhi khatti meethi fariyad
fir add as friend ❤

aur confirm friend wo notification
accept ka
wo anjaani si khushi
fir msg me baat
jaan pehchaan aur subah shaam
yaad,❤

Wo subah good morning ❤ kehna aur raato
ko jag jag k good night
kehna
wo din me 10 baar uske msg ka
wait
karna
aur msg padh k akele akele hasna  kahani
fir kuch aage badhi
dono me fir pyaar  badha
pyaar me izhaar hua
izhar ka iqraar hua ❤

sab kuch achha chal rha tha
dono khush the,
Ladke ne uske bare me
apni family ko bata dia,
ladke ke dad ne use bahut mara
aur samjahaya ki kuch nhi hai in sab me..Par ladka usko nahi bhul sakta tha,

Ladki k kafi aur frnd the,
Kisi ne ladki ko kaha k wo ladka
bura
hai
ladki ko trust nahi hua

aur fir bhi ladke se pyar karne lagi par
us din k baad ladki k man me
shak
janam le chuka tha
aur shak ne uske pyar ko dhire
dhire
khaana shuru kar diya wo ladke k 1 min
late reply ko
bhi bewafai
kehne lagi  .

usne ye bhi na socha k ladka padhai
karta
hai, Fir bhi ladka pehle jaisa tha us se aur bhi
jyada
baat karne laga

dhire dhire ladki ko kisi aur se
pyar ho
gaya usne ladke ko block kar diya

ladke ka dil tut gaya
ek pyaar ka ghar tut gaya
ladka haar chuka tha
usne facebbok use karna band
kar diya wo ladki aaj bahut khush hai
kisi aur k
sath

wo ladka aaj bhi khush hai apne aap
me
kuch kahaniya aisi bhi hoti hai..

Moral – zindagi me kisi ko khone k baad hi
.... ..uski keemat ka ehsaas hota hai…❤