♥Yaadein♥ 
Yaad bahut aate ho aap...
Bheed mai bi saath rehti hai aapki yaadein... 
Yaadein hi to hai bheed mai bi rula deti hai..
Aksar sochte hai kab humare beech ki duriyan khatam hongi... 
Hum ek dusre ki baahon mai hongye...
Aur humesha ke liye ek dusre ke ho jayengye...
Na yaadein hongi na tanhai..

Aapki yaadon ke saath aise hi sapne bunte hai...
Yaadein hi to hai jo hume aapki mojudgi ka ehsaas dilati hai...
Aapki yaadein hume jaan se bi pyaari hai...
Yaadein hi to hai to jo hume bheed mai bi tanha nahi chorti...
Yaadein na hoti to hum to jee na pate...
Yaadein hi to hai jinhe hum haal-e-dil wayan karte hai..
Aapke intezaar mai nighaein bi thak gyi hai...
Ab aansun ka samandar aapke aane par hi thame ga..
Ab to lagta hai saansein tham jayegi par humara intezaar nahi khatam hoga...
Yaad bahut aate ho aap.....
♥Spread Love♥
♥Written By-
Piu Singh♥