HUMARI KISMAT KI LAKEEREIN

Aaj se 25 saal pehle mera janam hua tha
Mujhe nahi pata kaun khush tha aur kaun dukhi lekin main itna janti hu mere parents bahot khush they kyuki main unki beti thi
Bahot laad aur pyar se paala unhone mujhe....meri har wish poori ki....mujhe kabhi kisi cheez ki kami mehsoos nahi hone di
Main thodi badi hui toh mujhe ache se ache school me bheja ....meri har jaroorat poori ki
Main thodi aur badi hui mujhe best college me bheja.....khud k na jaane kitne sapne adhoore chodhkar mere kawabho ko apna banaya
Maine bhi poori kosis ki unke har khawab ko poora karne ki maine unke har khawabo ko poora kiya
Unhone mujhe mere pairo par khade hone ke kabil banaya ....unhone mujhe khud ke liye ladna sikhaya....unhone mujhe is kabil bnaya ki main apni saari jarooratein apne aap poori kar saku
Unhone mujhe is kabil banaya ki mujhe kabhi kisi ke samne hath na failaane pade
Ab main badi hogayi thi duniya walo ki najro me...maa baap ki najro me bache kaha kabhi bade hote hai ......bade toh hum duniya walo ki nazro me hote hai
Kosis ki ache se ache ghar me rista ho.....lakho me ek ho unki beti ka jeevansathi

Maa ne samjhaya beti ek na ek din toh har beti ko maa baap ka ghar chodkar jaana hota hai tum bhi chali jaaogi
Wo pal bhi aaya jab unhone mere liye sabse acha ladka chunne ki kosis ki.....mujhe apne hatho se bida kiya apne kaleje par patthar rakhkar
Maine bhi maa-baap ki har baat ka maan rakha...apni sasural ko apna ghar maana uske parents ko apne maa- baap se badkar maana
Sabki choti badi jaroorato ka khyal rakha maine...kosis ki kabhi kisi ko shikayat ka mauka na du
Lekin aj main is hospital ke bed par zindgi aur maut ke beech lad rahi hu
Jante ho kyu?
Chalo main btatai hu mera kasoor ye tha ki main beti hu...maine apne paapa ko ye nahi bola ki meri sasural walo ko 20 lakh rupee chaiye
Jala di gayi main dahej ki khatir kya yuhi likhwakar laati hai apni kismat ki lakeero me hum betiyaan ....ek anjaan ghar me jate hai use apnate hai sabki jaroorato ka khyal rakhte hai aur kuch paiso ki khatir jala diye jaate hai
Main mar bhi gayi toh kya hoga jyada mein jyada un logo ko jail ho jayegi 1-2 saal k liye aur phir kuch time baad phir woh azad ho jayenge aur koi aur unka sikkar ban jayegi
Lekin mere maa-baap ka kya isme unka kya kasoor tha unki toh duniyaa uajad jayegi mere jaane se kaise samjho tum dahej ki laalchio
Pta nahi kab wo waqt aayega Kab hum betiyo ko apnaya jayega.....kab wo waqt ayega jab hum beti bankar hi dusre ghar me jayenge aur kab wo waqt aayega jb hum betiyo ki trah hi apnaye jayenge
Kya hai kisi ke pass is baat ka jawab agar hai toh mujhe bhi jawab de do
Koi toh hum betiyoo ko insaaf do....
♥Spread Love♥