♥Dil chahta hai♥
Tumse lipat kar rone ko dil chahta hai... 
Humesha ke liye tumhari hone ko dil chahta hai... 
Tumhari baahon mai sone ko dil chahta hai... 
Tumhe jee bhar ke dekhne ko dil chahta hai...
Tumhari baatein sunne ko dil chahta hai...
Tumhe dil ka haal batane ko dil chahta hai...
Tumhe apna banane ko dil chahta hai...
Tumhari har zidd puri karne ko dil chahta hai...
Tumhare pyaar mai dub jane ko dil chahta hai...


Tumhe apni zindagi banane ko dil chahta hai...
Tumhe jee bhar ke pyaar krne ko dil chahta hai...
Humesha ke liye tumhari ho kar marne ko dil chahta hai...
Tumhari baahon mai aane ko dil chahta hai...
Tumhari zindagi banne ko dil chahta hai...
Tumhari saanson ko kareeb aane ko dil chahta hai...
Tumhari dhadkan sunne ko dil chahta hai...
Tumhare labon par apna naam sunne ko dil chahta hai...
Bsss tumhari sirf tumhari hone ko dil chahta hai....
♥Spread Love♥

♥Self Written By- Piu Singh ♥